Duniya ki sabse badi Nadi ka Naam aur Itihas Hindi me

Kya aap jante hain Duniya ki sabse badi Nadi ka Naam? Yadi ham Bharat ki sabse lambi nadi ki bat Karen to hamare jahan me GANGA nadi ka naam aata hai lekin kya aap jante hain ki Duniya ki sabse lambi aur badi nadi kaun-kaun si hain. Aaiye aaj aapko batate hain duniya ki sabse badi nadiyon ke bare main.

Duniya ki sabse badi Nadi ka Naam aur Itihas Hindi me

 

Duniya ki sabse badi Nadi ka Naam aur Itihas

1- Neel Nadi Africa (नील नदी – अफ्रीका)

Neel nadi north-east Africa me bahati hai. Yes duniya ki sabse lambi nadi hai. Neel nadi ki lambai 6650 km hai. Yeh nadi Victoria ki sabse badi jheel se nikal kar Sahara Desert ko par karke bhumadhya sagar me ja milti hai. Duniya ki sabse lambi nadi ka khitab isi nadi ko mila hua hai.

Yeh east Africa se North aur fir Meditorian tak 6,650 k.m. ke dayare me faili hui hai. Neel ki 2 badi sahayak nadiyan hai – White Neel aur Blue Neel. Egypt (मिस्र) ki purani sabhyata ke vikas me Neel nadi ki bahut badi bhumika mani jati hai. Neel nadi ko isi liye Egypt (मिस्र) ka vardan bhi kaha jata hai.

2. Amazon Nadi – South America (अमेजन नदी – साऊथ अमेरिका)

Yeh Duniya ki dusri sabse badi aur lambi nadi hai. Iski lambai 6400k.m. hai. Is akeli nadi me bahane wala pani duniya ki sabhi nadiyon ka panchwa (5) hissa hai.

Lambai ke mamle me yeh nadi bhale hi duniya me dusre number par hai lekin dusre mamle me yeh duniya ki sabse badi nadi hai. Jaise pani ke density ke hisab se yeh duniya ki sabse badi nadi hai. Barish ke dinon me is nadi ki width 190km tak ho jati hai.

3. Yangtji Nadi – China (यांग्त्जी नदी – चीन)

Yangtji Nadi duniya me tisri aur Asia me sabse labmi nadi hai, iski lambai 6300 km. hai aur yeh China me bahati hai. China sarkar ne China ke sabse jyada aabadi wale Wuhan city ke 2 part ko aapas me jodne ke liye is nadi ke aar-paar Metro line ka nirman bhi kar diya hai. Is nadi ko China me Chen Jiyang ke naam se bhi jana jata hai.

Experts ke mutabik iska origin Tibbati Pathar ke east hisse me moujud Glacier hai. Ise Yangtji ke naam se bhi jana jata hai. Is nadi par banaya gaya bandh “Three Grojej Dam” duniya ka sabse bada Hydro-Electric Power Station hai. Yeh nadi duniya ka sabse busy Sluice (जलमार्ग) mani jati hai

4. Mississippi – Missouri, US (मिसिसिपी-मिसौरी, यूएस)

Yeh nadi Lambai ke aadhar par America ki sabse badi aur duniya ki fourth sabse badi nadi hai. Iski lambai 6275km hai. Mississippi ki sahayak nadi Missouri hai aur Missouri ki sahayak nadi Jefferson hai. Mississippi nadi ka sarot itaska jheel ko mana jata hai. Aur yeh nadi Mexico ki khardi me khatam ho jati hai. Is nadi ki jal ki dhara kafi tez aur thandi hoti hai.

5. Yenis-Angara-Selenga, Russia aur Mngoli (येनिसअंगारासेलेंगा,रूस और मंगोलिया)

Yeh duniya ki panchwin (5) sabse lambi nadi hai, jo Russia me bahati hai. Is nadi ki lambai 5539 km hai. Yeh 3 nadiyan hai, jo ek dusre se joint hoti chali jati hai. Yeh nadi Mongolia ke center part se nikalti hai aur Russia ke kai parts se bahate huye Arctic ocean me mil jati hai.

6. Yellow Nadi – China (यलो नदी,चीन)

Yeh nadi central aur South Asia ke main nadi hai. Iski lambai 5464 km hai. Yeh China, Tibet, India aur Bangladesh se ho kar bahti hai.  Yeh duniya ki sabse deep nadi hai.

7. Ob-Irtysh Nadi, Russia aur Kazakhstan (ओबइरटिस नदी, रूस और कजाखस्तान)

Ob-Irtysh Nadi ya Obi nadi North Asia ke West Siberia area ki ek nadi hai. Obi nadi ki starting Russia ke Altai karya pradesh ke Biyask City se 26 km South-West me Biya nadi aur Kutun nadi ke sangam se hoti hai. Is nadi ki lambai 5410 km hai.

8. Paran nadi – South America (पराना नदी, साउथ अमेरिका)

Yeh nadi south-center America me bahati hai. South America me bahane wali nadi me Amezon nadi ke bad yeh dusri sabse badi nadi hai. Paran nadi ka matlab hai – Sea jaisa vishal. Argentina, Brazil aur Paraguay me bahate huye 4880 km ka safar complete karti hai.

9. Congo nadi – Africa (कांगो नदी, अफ्रीका)

Is nadi ko jeyare naam se bhi pukaara jata hai. Yeh nadi 4700 km ki distance complete karti hai. Neel nadi ke bad yeh Africa ki sabse lambi nadi hai. Yeh sea me per secon 20 lakh ghan foot kichad yukt pani girati hai, jo pure Misisipi ke ausat ka chauguna (4 times) hai.

10. Amur, Argun nadi, Russia aur China (अमूरअर्गुन नदी, रूस और चीन)

Yeh duniay ki daswin (10th) sabse lambi nadi hai. Iski lambai 4444 km hai. Russia aur China ke beech jamin ke liye jo problem 17wi shatabdi se 20wi shatabdi tak chali, unme Amur Nadi ki bhumika aham thi.

बैंक पासबुक क्या है – बैंक पासबुक का अर्थ, प्रारूप और महत्व

Hamara yeh post ” Duniya ki sabse badi Nadi ka Naam aur Itihas” padhne ke liye aap ka shukriya. Agar post achcha laga to social media par share jarur karen. Agar sujhao dena chahte hain to comment box me comment karke jarur den.

Share on Social Media

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top